aap ka intizar bhi to nahin
aap kā intizār bhī to nahīñ
dil ko lekin qarār bhī to nahīñ
garche majbūr bhī nahīñ ham log
sāhab-e-iḳhtiyār bhī to nahīñ
dard kam to huā hai chārāgar
dard kā e'tibār bhī to nahīñ
terī dīvār par lagā dete
zindagī ishtihār bhī to nahīñ
jāñ-nisārī hamārā sheva hai
har koī jāñ-nisār bhī to nahīñ
bevafā log haiñ to phir kyā hai
aap un meñ shumār bhī to nahīñ
aap ka intizar bhi to nahin
dil ko lekin qarar bhi to nahin
garche majbur bhi nahin hum log
sahab-e-iKHtiyar bhi to nahin
dard kam to hua hai chaaragar
dard ka e'tibar bhi to nahin
teri diwar par laga dete
zindagi ishtihaar bhi to nahin
jaan-nisari hamara shewa hai
har koi jaan-nisar bhi to nahin
bewafa log hain to phir kya hai
aap un mein shumar bhi to nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.