aap ka intizar hai ab tak
aap kā intizār hai ab tak
dil bahut be-qarār hai ab tak
va.ada kar ke bhī vo nahīñ aa.e
va.ade kā e.atibār hai ab tak
phir na aaya hamāre baad koī
kyā vahī rahguzār hai ab tak
āshiyāñ jal ke muddateñ guzrīñ
barq kyoñ sho.ala-bār hai ab tak
fasl-e-gul aa.ī hai gulistāñ meñ
kyoñ fazā sogvār hai ab tak
jaane vaale chale ga.e lekin
ḳhālī dil kā dayār hai ab tak
jis ne ham ko bhulā diyā dil se
ai 'zamīr' us se pyaar hai ab tak
aap ka intizar hai ab tak
dil bahut be-qarar hai ab tak
wada kar ke bhi wo nahin aae
wade ka eatibar hai ab tak
phir na aaya hamare baad koi
kya wahi rahguzar hai ab tak
aashiyan jal ke muddaten guzrin
barq kyon shoala-bar hai ab tak
fasl-e-gul aai hai gulistan mein
kyon faza sogwar hai ab tak
jaane wale chale gae lekin
KHali dil ka dayar hai ab tak
jis ne hum ko bhula diya dil se
ai 'zamir' us se pyar hai ab tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.