aap ka nam jo lag jae mere nam ke sath
aap kā naam jo lag jaa.e mire naam ke saath
eid kā chāñd nazar aa.e har ik shaam ke saath
us kī Thokar pe rahī saare zamāne kī ḳhushī
zindagī jis ne guzārī ġham-o-ālām ke saath
kyā tamāsha hai mirī maut ke paiġhām ke saath
aa.e ho bikhrī huī zulf-e-siyah-fām ke saath
ab koī shaḳhs kisī shaḳhs se nafrat na kare
aam ho aisī mohabbat mire paiġhām ke saath
naza.a ke vaqt jo aa jāoge bālīñ pe mirī
jism se ruuh nikal jā.egī ārām ke saath
mujhe to kohna rivāyāt kā pāband na kar
vāsta maiñ na rakhūñgā ravish-e-ām ke saath
maiñ vafādār rahā maslahat-āgīñ na banā
magar afsāna banā Daalā is ilzām ke saath
mai-kade se jo maiñ niklā to ajab aalam thā
jaam āñkhoñ ke the labrez tahī-jām ke saath
ġham-e-daurāñ kī rahī yā ġham-e-jānāñ kī rahī
al-ġharaz chheḌ rahī manzil-e-nākām ke saath
aap ka nam jo lag jae mere nam ke sath
eid ka chand nazar aae har ek sham ke sath
us ki Thokar pe rahi sare zamane ki KHushi
zindagi jis ne guzari gham-o-alam ke sath
kya tamasha hai meri maut ke paigham ke sath
aae ho bikhri hui zulf-e-siyah-fam ke sath
ab koi shaKHs kisi shaKHs se nafrat na kare
aam ho aisi mohabbat mere paigham ke sath
naza ke waqt jo aa jaoge baalin pe meri
jism se ruh nikal jaegi aaram ke sath
mujhe to kohna riwayat ka paband na kar
wasta main na rakhunga rawish-e-am ke sath
main wafadar raha maslahat-agin na bana
magar afsana bana Dala is ilzam ke sath
mai-kade se jo main nikla to ajab aalam tha
jam aankhon ke the labrez tahi-jam ke sath
gham-e-dauran ki rahi ya gham-e-jaanan ki rahi
al-gharaz chheD rahi manzil-e-nakaam ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.