aap kahte hain nahin milte dil afsane mein
aap kahte haiñ nahīñ milte dil afsāne meñ
phir se ham aa hī ga.e aap ke bahlāne meñ
vo baras biit gayā jis meñ tumheñ paayā thā
umr guzregī ise bārhā dohrāne meñ
phuul par ek mahaktī huī titlī dekhī
kyā tumheñ chhū liyā us ne kahīñ anjāne meñ
shart-e-maujūdgī darkār nahīñ ulfat ko
vaqt zaa.e.a na kar aane meñ aur jaane meñ
har nafas tum hī ho har samt tumhāre jalve
lutf itnā na thā ai yaar tujhe paane meñ
chāñd ko jhiil ke paanī meñ utārā lekin
aag paanī meñ lagā baiThe haiñ anjāne meñ
ishq par zor nahīñ phir bhī lage rahte haiñ
ham kabhī ḳhud ko kabhī aap ko samjhāne meñ
aap kahte hain nahin milte dil afsane mein
phir se hum aa hi gae aap ke bahlane mein
wo baras bit gaya jis mein tumhein paya tha
umr guzregi ise barha dohrane mein
phul par ek mahakti hui titli dekhi
kya tumhein chhu liya us ne kahin anjaane mein
shart-e-maujudgi darkar nahin ulfat ko
waqt zaea na kar aane mein aur jaane mein
har nafas tum hi ho har samt tumhaare jalwe
lutf itna na tha ai yar tujhe pane mein
chand ko jhil ke pani mein utara lekin
aag pani mein laga baiThe hain anjaane mein
ishq par zor nahin phir bhi lage rahte hain
hum kabhi KHud ko kabhi aap ko samjhane mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.