aap ke aane se ek aisi faza banti hai
aap ke aane se ik aisī fazā bantī hai
ham jahāñ saañs bhī khīñcheñ to havā bantī hai
na davāoñ meñ asar hai na dilāsoñ meñ kamī
aisī bigḌī hai ki ab sirf duā bantī hai
vaise jannat se baḌā dil to nahīñ hai us kā
lekin us meñ mire jaisoñ kī jagah bantī hai
paanī to paanī hai phir majnūñ ho yā māhīvāl
ishq meñ baat bigaḌ jaatī hai yā bantī hai
jo tumheñ chhoḌ deñ phir chhoḌ de duniyā un ko
aise logoñ ke liye aisī sazā bantī hai
aap ke aane se ek aisi faza banti hai
hum jahan sans bhi khinchen to hawa banti hai
na dawaon mein asar hai na dilason mein kami
aisi bigDi hai ki ab sirf dua banti hai
waise jannat se baDa dil to nahin hai us ka
lekin us mein mere jaison ki jagah banti hai
pani to pani hai phir majnun ho ya mahiwal
ishq mein baat bigaD jati hai ya banti hai
jo tumhein chhoD den phir chhoD de duniya un ko
aise logon ke liye aisi saza banti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.