aap ke dar se kidhar jaenge
aap ke dar se kidhar jā.eñge
ḳhaak ho jā.eñge mar jā.eñge
mat nigāhoñ se girānā ham ko
TuuT jā.eñge bikhar jā.eñge
yā pighal jā.eñge garmī se aah
yā to sardī se ThiThur jā.eñge
moTī moTī sī dikhā kar āñkheñ
vo samajhte haiñ ki Dar jā.eñge
ishq ne aur bigāḌā yaaro
varna samjhe the sudhar jā.eñge
mere a.azā kā kyā hogā allāh
un ke gesū to sañvar jā.eñge
daaġh dil ke dikhā to duuñ lekin
dekh kar nāznīñ Dar jā.eñge
haa.e jannat meñ kyā hogā apnā
dil hamāre vahāñ bhar jā.eñge
guzrī jab ham pe qayāmat 'hāvī'
ḳhair ye din bhī guzar jā.eñge
aap ke dar se kidhar jaenge
KHak ho jaenge mar jaenge
mat nigahon se girana hum ko
TuT jaenge bikhar jaenge
ya pighal jaenge garmi se aah
ya to sardi se ThiThur jaenge
moTi moTi si dikha kar aankhen
wo samajhte hain ki Dar jaenge
ishq ne aur bigaDa yaro
warna samjhe the sudhar jaenge
mere aaza ka kya hoga allah
un ke gesu to sanwar jaenge
dagh dil ke dikha to dun lekin
dekh kar naznin Dar jaenge
hae jannat mein kya hoga apna
dil hamare wahan bhar jaenge
guzri jab hum pe qayamat 'hawi'
KHair ye din bhi guzar jaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.