aap ke iltifat ka gham ho
aap ke iltifāt kā ġham ho
itnī chhoTī sī baat kā ġham ho
aaj un āñkhoñ kī baat yaad aa.ī
aaj kis ko hayāt kā ġham ho
ishq se ye mazāq Thiik nahīñ
ham ko aur sānehāt kā ġham ho
maiñ farāmosh kar duuñ aur tum ko
tum to merī hayāt kā ġham ho
jin pe maiñ bhī yaqīn kar na sakā
kis ko in hādsāt kā ġham ho
dil to hai sirf apnī zaat kā ġham
tum magar kā.enāt kā ġham ho
aap ke iltifat ka gham ho
itni chhoTi si baat ka gham ho
aaj un aankhon ki baat yaad aai
aaj kis ko hayat ka gham ho
ishq se ye mazaq Thik nahin
hum ko aur sanehat ka gham ho
main faramosh kar dun aur tum ko
tum to meri hayat ka gham ho
jin pe main bhi yaqin kar na saka
kis ko in hadsat ka gham ho
dil to hai sirf apni zat ka gham
tum magar kaenat ka gham ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.