aap ke ishq mein humse to zamana chhuTa
aap ke ishq meñ ham se to zamāna chhūTā
tum se afsos na ik ġhair kā milnā chhūTā
be-hijābāna the baiThe hue aġhyār ke paas
dekhte hī mujhe dālān kā parda chhūTā
riñd to riñd ajī zāhid-o-vā.iz se bhī to
dekhte hī use tasbīh-o-musalllā chhūTā
havas-e-dil meñ ḳhudā jaane ki kyā lazzat hai
ki jo lab se na kabhī harf-e-tamannā chhūTā
tāñk-jhāñk aap kī vaisī hī buḌhāpe meñ bhī hai
'aish' būḌhe bhī hue par vo na lapkā chhūTā
aap ke ishq mein hum se to zamana chhuTa
tum se afsos na ek ghair ka milna chhuTa
be-hijabana the baiThe hue aghyar ke pas
dekhte hi mujhe dalan ka parda chhuTa
rind to rind aji zahid-o-waiz se bhi to
dekhte hi use tasbih-o-musallla chhuTa
hawas-e-dil mein KHuda jaane ki kya lazzat hai
ki jo lab se na kabhi harf-e-tamanna chhuTa
tank-jhank aap ki waisi hi buDhape mein bhi hai
'aish' buDhe bhi hue par wo na lapka chhuTa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.