aap ke KHun mein adakari kahan se aa gai
aap ke ḳhuuñ meñ adākārī kahāñ se aa ga.ī
aap nādāñ the samajhdārī kahāñ se aa ga.ī
is chaman ke peḌ-paude ham ne sīñche ḳhuun se
aap ke hāthoñ meñ ye aarī kahāñ se aa ga.ī
jin buzurgoñ ne luTā.e jān-o-dil islām par
un ke bachchoñ meñ ye ġhaddārī kahāñ se aa ga.ī
dard aziyyat qatl-o-ġhārat aap kā sheva rahā
phir achānak ye ravādārī kahāñ se aa ga.ī
rūThnā paiham manānā chhoḌ jaanā raah meñ
aap meñ jaane adākārī kahāñ se aa ga.ī
us ne dekhā pyaar se to mil ga.ī rāhat mujhe
maiñ thī hairāñ us meñ dildārī kahāñ se aa ga.ī
ai 'anā' tum mat girānā apne hī kirdār ko
un ko kahne do ki ḳhud-dārī kahāñ aa ga.ī
aap ke KHun mein adakari kahan se aa gai
aap nadan the samajhdari kahan se aa gai
is chaman ke peD-paude hum ne sinche KHun se
aap ke hathon mein ye aari kahan se aa gai
jin buzurgon ne luTae jaan-o-dil islam par
un ke bachchon mein ye ghaddari kahan se aa gai
dard aziyyat qatl-o-ghaarat aap ka shewa raha
phir achanak ye rawadari kahan se aa gai
ruThna paiham manana chhoD jaana rah mein
aap mein jaane adakari kahan se aa gai
us ne dekha pyar se to mil gai rahat mujhe
main thi hairan us mein dildari kahan se aa gai
ai 'ana' tum mat girana apne hi kirdar ko
un ko kahne do ki KHud-dari kahan aa gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.