aap ke pas mere dard ka darman bhi nahin
aap ke pas mere dard ka darman bhi nahin
Mohsin Ummeedi Burhanpuri
MORE BYMohsin Ummeedi Burhanpuri
aap ke paas mire dard kā darmāñ bhī nahīñ
ḳhair fitrat mirī minnat-kash-e-ehsāñ bhī nahīñ
mere chehre se mire dard kā andāza ġhalat
vo fasāna huuñ ki jis kā koī unvāñ bhī nahīñ
kis se rūdād kahūñ raah kī dushvārī kī
ham-safar ab to mirī gardish-e-daurāñ bhī nahīñ
maiñ ne ehsās ke but toḌ diye haiñ 'mohsin'
ab mire sar mire ahbāb kā ehsāñ bhī nahīñ
aap ke pas mere dard ka darman bhi nahin
KHair fitrat meri minnat-kash-e-ehsan bhi nahin
mere chehre se mere dard ka andaza ghalat
wo fasana hun ki jis ka koi unwan bhi nahin
kis se rudad kahun rah ki dushwari ki
ham-safar ab to meri gardish-e-dauran bhi nahin
main ne ehsas ke but toD diye hain 'mohsin'
ab mere sar mere ahbab ka ehsan bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.