aap ke pahlu mein dushman so chuka
aap ke pahlū meñ dushman so chukā
jā.iye honā thā jo kuchh ho chukā
hañstī hai taqdīr hañs le un ke saath
dil mujhe maiñ apne dil ko ro chukā
haath rakkhā maiñ ne sote meñ kahāñ
bole vo jhuñjhlā ke ab maiñ so chukā
hashr meñ aanā thā pahle se hameñ
ham kab aa.e jab tamāshā ho chukā
ḳhaar us dil ne mujhe kyā kyā diye
mere haq meñ ye bhī kāñTe ho chukā
ab jo ghaTtā hai ghaTe tūfān-e-ashk
apnī qismat kā likhā maiñ dho chukā
bik gayā ammāma ho kar rahn-e-mai
bojh utrā sar se jhagḌā to chukā
tauba kī isyāñ se ab pūchhegā kaun
jam.a kī thī jitnī daulat kho chukā
āftāb-e-hashr kab chamkā 'riyāz'
dāġh-e-mai dāman se jab maiñ dho chukā
aap ke pahlu mein dushman so chuka
jaiye hona tha jo kuchh ho chuka
hansti hai taqdir hans le un ke sath
dil mujhe main apne dil ko ro chuka
hath rakkha main ne sote mein kahan
bole wo jhunjhla ke ab main so chuka
hashr mein aana tha pahle se hamein
hum kab aae jab tamasha ho chuka
KHar us dil ne mujhe kya kya diye
mere haq mein ye bhi kanTe ho chuka
ab jo ghaTta hai ghaTe tufan-e-ashk
apni qismat ka likha main dho chuka
bik gaya ammama ho kar rahn-e-mai
bojh utra sar se jhagDa to chuka
tauba ki isyan se ab puchhega kaun
jama ki thi jitni daulat kho chuka
aaftab-e-hashr kab chamka 'riyaz'
dagh-e-mai daman se jab main dho chuka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.