aap ke sath ho liye sahab
aap ke saath ho liye sāhab
boliye kuchh to boliye sāhab
ek ghanTe ke saaTh mintoñ meñ
saiñkaḌoñ baar ro liye sāhab
log to log the magar ye kyā
aap bhī saath ho liye sāhab
ḳhāmushī kaan khā ga.ī hai mire
ras samā.at meñ gholiye sāhab
band-e-ġham se mujhe rihā.ī mile
apnī bāñhoñ ko kholiye sāhab
ham ne āñchal pe hijr kaaḌh liyā
aur aañsū piro liye sāhab
āstīñ meñ rahā nahīñ kuchh bhī
pal chuke haiñ sañpoliye sāhab
aap kā dil hamārā maskan hai
dhaḌkanoñ ko TaToliye sāhab
mat aTakiye miyān-e-goyā.ī
har qadam par na Doliye sāhab
aap ke sath ho liye sahab
boliye kuchh to boliye sahab
ek ghanTe ke saTh minton mein
sainkaDon bar ro liye sahab
log to log the magar ye kya
aap bhi sath ho liye sahab
KHamushi kan kha gai hai mere
ras samaat mein gholiye sahab
band-e-gham se mujhe rihai mile
apni banhon ko kholiye sahab
hum ne aanchal pe hijr kaDh liya
aur aansu piro liye sahab
aastin mein raha nahin kuchh bhi
pal chuke hain sanpoliye sahab
aap ka dil hamara maskan hai
dhaDkanon ko TaToliye sahab
mat aTakiye miyan-e-goyai
har qadam par na Doliye sahab
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.