aap ki aankhon ka tara aur hai
aap kī āñkhoñ kā taara aur hai
kyā huā merā sahārā aur hai
ik nadī ke do kināroñ kī tarah
rāsta merā tumhārā aur hai
jaane ab kaisī ḳhabar ye lā.eñgī
in havāoñ kā ishāra aur hai
aap marham hī lagāte rah ga.e
kyā kaheñ ye dard saarā aur hai
aap kī badlī nigāheñ kah rahīñ
ab nahīñ merā guzārā aur hai
pūchhne vāloñ ko 'sarhad' ne kahā
maiñ nahīñ gardish kā maarā aur hai
aap ki aankhon ka tara aur hai
kya hua mera sahaara aur hai
ek nadi ke do kinaron ki tarah
rasta mera tumhaara aur hai
jaane ab kaisi KHabar ye laengi
in hawaon ka ishaara aur hai
aap marham hi lagate rah gae
kya kahen ye dard sara aur hai
aap ki badli nigahen kah rahin
ab nahin mera guzara aur hai
puchhne walon ko 'sarhad' ne kaha
main nahin gardish ka mara aur hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.