Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aap ki chashm-e-inayat kabhi aisi to na thi

Syed Manzar Hasan Desnavi

aap ki chashm-e-inayat kabhi aisi to na thi

Syed Manzar Hasan Desnavi

MORE BYSyed Manzar Hasan Desnavi

    aap chashm-e-ināyat kabhī aisī to na thī

    aur taġhāful pe nadāmat kabhī aisī to na thī

    yaad aatā huuñ maiñ kyoñ tark-e-ta.alluq par bhī

    mehrbāñ mujh se mohabbat kabhī aisī to na thī

    aap ke lutf-o-karam maiñ tamanna kartā

    ġham-o-ālām se fursat kabhī aisī to na thī

    zahe qismat rasan-o-dār ke laa.eq Thahrā

    apnī ham chashmoñ meñ izzat kabhī aisī to na thī

    tere aariz hai ye aks ki āġhāz-e-bahār

    apne gulshan latāfat kabhī aisī to na thī

    apnī barbād-e-mohabbat pe tahayyur kaisā

    un se ummīd-e-rifāqat kabhī aisī to na thī

    ashk kyoñ Dhalte nahīñ āñkhoñ se barsoñ 'manzar'

    mere dāman ko shikāyat kabhī aisī to na thī

    aap ki chashm-e-inayat kabhi aisi to na thi

    aur taghaful pe nadamat kabhi aisi to na thi

    yaad aata hun main kyon tark-e-talluq par bhi

    mehrban mujh se mohabbat kabhi aisi to na thi

    aap ke lutf-o-karam ki main tamanna karta

    gham-o-alam se fursat kabhi aisi to na thi

    zahe qismat rasan-o-dar ke laeq Thahra

    apni hum chashmon mein izzat kabhi aisi to na thi

    tere aariz ka hai ye aks ki aaghaz-e-bahaar

    apne gulshan ki latafat kabhi aisi to na thi

    apni barbaad-e-mohabbat pe tahayyur kaisa

    un se ummid-e-rifaqat kabhi aisi to na thi

    ashk kyon Dhalte nahin aankhon se barson 'manzar'

    mere daman ko shikayat kabhi aisi to na thi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now