aap ki chashm-e-nam ghanimat hai
aap kī chashm-e-nam ġhanīmat hai
dil huā dil ye kam ġhanīmat hai
haañ ḳhushī meñ bhī kaifiyat hogī
haañ mujhe terā ġham ġhanīmat hai
tum na aa.e sahar to aa hī ga.ī
dam-ba-dam dam-ba-dam ġhanīmat hai
zindagānī kā e'tibār nahīñ
jo guzar jaa.e dam ġhanīmat hai
raat din āsmāñ haiñ chakkar meñ
mil jo baiThe ye ham ġhanīmat hai
ka.aba-o-dair se najāt milī
terā naqsh-e-qadam ġhanīmat hai
shā.irī dil-lagī nahīñ 'shaukat'
jo hai zor-e-qalam ġhanīmat hai
aap ki chashm-e-nam ghanimat hai
dil hua dil ye kam ghanimat hai
han KHushi mein bhi kaifiyat hogi
han mujhe tera gham ghanimat hai
tum na aae sahar to aa hi gai
dam-ba-dam dam-ba-dam ghanimat hai
zindagani ka e'tibar nahin
jo guzar jae dam ghanimat hai
raat din aasman hain chakkar mein
mil jo baiThe ye hum ghanimat hai
kaba-o-dair se najat mili
tera naqsh-e-qadam ghanimat hai
shairi dil-lagi nahin 'shaukat'
jo hai zor-e-qalam ghanimat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.