aap ki fitrat hai chhalte jaenge
aap kī fitrat hai chhalte jā.eñge
aap to kah kar badalte jā.eñge
kenchue sī zindagī kyā zindagī
log to yūñhī kuchalte jā.eñge
kyā bachegā aap kā apnā vujūd
rang meñ jag ke jo Dhalte jā.eñge
fikr ġhairoñ kī bhī thoḌī kījiye
varna ik din haath malte jā.eñge
'āshiqī kī raah hī hai pur-ḳhatar
dard ke pahlū nikalte jā.eñge
ab 'adālat meñ siyāsat aa ga.ī
faisle aise hī Talte jā.eñge
jis taraf jā.eñge apne rahnumā
zahr apnā vo ugalte jā.eñge
aap ki fitrat hai chhalte jaenge
aap to kah kar badalte jaenge
kenchue si zindagi kya zindagi
log to yunhi kuchalte jaenge
kya bachega aap ka apna wujud
rang mein jag ke jo Dhalte jaenge
fikr ghairon ki bhi thoDi kijiye
warna ek din hath malte jaenge
'ashiqi ki rah hi hai pur-KHatar
dard ke pahlu nikalte jaenge
ab 'adalat mein siyasat aa gai
faisle aise hi Talte jaenge
jis taraf jaenge apne rahnuma
zahr apna wo ugalte jaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.