aap ki jab se mehrbani hai
aap kī jab se mehrbānī hai
dil ke har zaḳhm par javānī hai
aap se duur rah ke zinda haiñ
ye bhī kyā koī zindagānī hai
baad muddat ke us ko dekhā hai
jo mohabbat kā merī baanī hai
pūchhte kyā ho mere dil kā haal
is kī to lambī ik kahānī hai
saath jiinā hai saath marnā hai
ye qasam aap ko bhī khānī hai
jis kī ḳhātir ye ho ga.ī hai ġhazal
vo ḳhayāloñ kī mere raanī hai
ḳhauf meñ us ke ham nahīñ rahte
maut to ek roz aanī hai
kitnā be-dard ho gayā vo 'salīm'
duur rahne kī jis ne Thānī hai
aap ki jab se mehrbani hai
dil ke har zaKHm par jawani hai
aap se dur rah ke zinda hain
ye bhi kya koi zindagani hai
baad muddat ke us ko dekha hai
jo mohabbat ka meri bani hai
puchhte kya ho mere dil ka haal
is ki to lambi ek kahani hai
sath jina hai sath marna hai
ye qasam aap ko bhi khani hai
jis ki KHatir ye ho gai hai ghazal
wo KHayalon ki mere rani hai
KHauf mein us ke hum nahin rahte
maut to ek roz aani hai
kitna be-dard ho gaya wo 'salim'
dur rahne ki jis ne Thani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.