aap ki mujh par inayat ho gai
aap kī mujh par ināyat ho ga.ī
duur sab apnī shikāyat ho ga.ī
vo jidhar bhī ho ga.e mahv-e-ḳhirām
vo jagah gulzār-e-jannat ho ga.ī
zikr-e-mai par muskurā.e shaiḳh jī
lījiye ma.alūm niyyat ho ga.ī
aap ke jo jī meñ aaya kah ga.e
ham jo kuchh bole shikāyat ho ga.ī
lo kuchh is andāz se añgḌā.iyāñ
log ye samjheñ qayāmat ho ga.ī
aap ki mujh par inayat ho gai
dur sab apni shikayat ho gai
wo jidhar bhi ho gae mahw-e-KHiram
wo jagah gulzar-e-jannat ho gai
zikr-e-mai par muskurae shaiKH ji
lijiye malum niyyat ho gai
aap ke jo ji mein aaya kah gae
hum jo kuchh bole shikayat ho gai
lo kuchh is andaz se angDaiyan
log ye samjhen qayamat ho gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.