Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aap ki mujh pe jab bhi nawazish hui

Zafar Ansari Zafar

aap ki mujh pe jab bhi nawazish hui

Zafar Ansari Zafar

MORE BYZafar Ansari Zafar

    aap mujh pe jab bhī navāzish huī

    mujh pe sañg-e-malāmat bārish huī

    zindagī bhar rahegī mujhe yaad vo

    ishq meñ jo mirī āzmā.ish huī

    merā bachpan mujhe yaad aane lagā

    titliyoñ jahāñ bhī numā.ish huī

    mere dāman pe kīchaḌ uchhaltā nahīñ

    kyā ḳhabar kyā raqīboñ meñ sāzish huī

    jhuuT to jhuuT thā jhuuT vo rahā

    bārhā sach banāne koshish huī

    zulf bikhrā.e vo baam par aa ga.e

    jab suhānī rutoñ sifārish huī

    kitnā bad-zauq shahr-e-ġhazal hai 'zafar'

    bahre gūñge har satā.ish huī

    aap ki mujh pe jab bhi nawazish hui

    mujh pe sang-e-malamat ki barish hui

    zindagi bhar rahegi mujhe yaad wo

    ishq mein jo meri aazmaish hui

    mera bachpan mujhe yaad aane laga

    titliyon ki jahan bhi numaish hui

    mere daman pe kichaD uchhalta nahin

    kya KHabar kya raqibon mein sazish hui

    jhuT to jhuT tha jhuT hi wo raha

    barha sach banane ki koshish hui

    zulf bikhrae wo baam par aa gae

    jab suhani ruton ki sifarish hui

    kitna bad-zauq shahr-e-ghazal hai 'zafar'

    bahre gunge ki har su sataish hui

    Source :
    • Book : Tez Hawa ke Jhonke (Pg. 30)
    • Author : Zafar Ansari Zafar
    • Publication : Maktaba Jamia , Jamia Nagar, New Delhi (2009)
    • Edition : 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now