aap ki nazar-e-inayat ho gai
aap kī nazar-e-ināyat ho ga.ī
zindagī marhūn-e-minnat ho ga.ī
mil ga.e do dil mohabbat ho ga.ī
baat bas itnī qayāmat ho ga.ī
kyoñ fuzūñ-tar aaj vahshat ho ga.ī
kyā kisī manzil se qurbat ho ga.ī
aap ham par multafit kyā ho ga.e
ham se duniyā ko adāvat ho ga.ī
ho ga.e kyā kyā fasāne sar-buland
sar-nigūñ saarī haqīqat ho ga.ī
aap ne ġham de diyā kyā kam diyā
chaar din jiine kī sūrat ho ga.ī
naam un kā jab zabāñ par aa gayā
yuuñ bhī goyā ik ibādat ho ga.ī
ho ga.ī jab bhī jahālat muqtadir
dar-ba-dar 'āmir' farāsat ho ga.ī
aap ki nazar-e-inayat ho gai
zindagi marhun-e-minnat ho gai
mil gae do dil mohabbat ho gai
baat bas itni qayamat ho gai
kyon fuzun-tar aaj wahshat ho gai
kya kisi manzil se qurbat ho gai
aap hum par multafit kya ho gae
hum se duniya ko adawat ho gai
ho gae kya kya fasane sar-buland
sar-nigun sari haqiqat ho gai
aap ne gham de diya kya kam diya
chaar din jine ki surat ho gai
nam un ka jab zaban par aa gaya
yun bhi goya ek ibaadat ho gai
ho gai jab bhi jahaalat muqtadir
dar-ba-dar 'amir' farasat ho gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.