aap ki rahbari nahin hoti
aap kī rahbarī nahīñ hotī
zindagī zindagī nahīñ hotī
rū-ba-rū tum se gar nahīñ aate
dil kī dhaḌkan thamī nahīñ hotī
chāhe darvesh vo qalandar ho
ḳhvāhishoñ meñ kamī nahīñ hotī
zikr-e-jānāñ na jis meñ shāmil ho
bandagī bandagī nahīñ hotī
muḳhtalif hai mizāj donoñ kā
nasr meñ shā.erī nahīñ hotī
dil ke māroñ ko miltī jo manzil
to yahāñ ḳhud-kushī nahīñ hotī
vaqt rahte gale lagā lo tum
pyaar meñ be-ruḳhī nahīñ hotī
tum agar chhoḌ kar nahīñ jaate
ġham-zada zindagī nahīñ hotī
laakh koshish karūñ magar 'raushan'
dard-e-dil meñ kamī nahīñ hotī
aap ki rahbari nahin hoti
zindagi zindagi nahin hoti
ru-ba-ru tum se gar nahin aate
dil ki dhaDkan thami nahin hoti
chahe darwesh wo qalandar ho
KHwahishon mein kami nahin hoti
zikr-e-jaanan na jis mein shamil ho
bandagi bandagi nahin hoti
muKHtalif hai mizaj donon ka
nasr mein shaeri nahin hoti
dil ke maron ko milti jo manzil
to yahan KHud-kushi nahin hoti
waqt rahte gale laga lo tum
pyar mein be-ruKHi nahin hoti
tum agar chhoD kar nahin jate
gham-zada zindagi nahin hoti
lakh koshish karun magar 'raushan'
dard-e-dil mein kami nahin hoti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.