aap ki sangat ka ye andaz man ko bha gaya
aap kī sañgat kā ye andāz man ko bhā gayā
gardish-e-daurāñ meñ ham ko muskurānā aa gayā
TuuT kar barsā jo bādal ghup añdherā chhā gayā
thā ujālā din kā lekin raushnī ko khā gayā
qātiloñ ne jism merā reza reza kar diyā
ḳhuun bikhrā rañg ban kar vādiyāñ chamkā gayā
aag se to bach gayā maiñ maut aanī thī magar
bachte bachte phir bhī maiñ paanī se dhoka khā gayā
ham mohabbat meñ shikasta-pā hue to ġham nahīñ
rafta-rafta dosto tum ko to chalnā aa gayā
aap ki sangat ka ye andaz man ko bha gaya
gardish-e-dauran mein hum ko muskurana aa gaya
TuT kar barsa jo baadal ghup andhera chha gaya
tha ujala din ka lekin raushni ko kha gaya
qatilon ne jism mera reza reza kar diya
KHun bikhra rang ban kar wadiyan chamka gaya
aag se to bach gaya main maut aani thi magar
bachte bachte phir bhi main pani se dhoka kha gaya
hum mohabbat mein shikasta-pa hue to gham nahin
rafta-rafta dosto tum ko to chalna aa gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.