aap ki talwar ko dhoka hua
aap kī talvār ko dhokā huā
yā mirī dastār ko dhokā huā
naav ko lahreñ bahā kar le ga.iiñ
aap kī patvār ko dhokā huā
kaan ke hote hue bahrī rahī
aaj phir dīvār ko dhokā huā
kyā ġhazab hai ashk bhī bikne lage
vāqa'ī bāzār ko dhokā huā
kab barastā hai bhalā abr-e-fareb
haañ dil-e-bezār ko dhokā huā
aap ki talwar ko dhoka hua
ya meri dastar ko dhoka hua
naw ko lahren baha kar le gain
aap ki patwar ko dhoka hua
kan ke hote hue bahri rahi
aaj phir diwar ko dhoka hua
kya ghazab hai ashk bhi bikne lage
waqa'i bazar ko dhoka hua
kab barasta hai bhala abr-e-fareb
han dil-e-bezar ko dhoka hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.