aapko apna banate hue Dar lagta hai
aap ko apnā banāte hue Dar lagtā hai
dil kī duniyā bhī basāte hue Dar lagtā hai
lag na jaa.e kahīñ in phūloñ ko duniyā kī nazar
dāġh-e-dil apne dikhāte hue Dar lagtā hai
ho na jaa.e kahīñ hañgāma-e-mahshar barpā
apnī rūdād sunāte hue Dar lagtā hai
tapish-e-husn na parvāna banā de mujh ko
us ke nazdīk bhī jaate hue Dar lagtā hai
ġharq ho jaa.e na duniyā-e-tasavvur apnī
ashk-e-ġham aañkh meñ laate hue Dar lagtā hai
shaġhl thā dasht-navardī kā kabhī ai 'tābāñ'
ab gulistāñ meñ bhī jaate hue Dar lagtā hai
aap ko apna banate hue Dar lagta hai
dil ki duniya bhi basate hue Dar lagta hai
lag na jae kahin in phulon ko duniya ki nazar
dagh-e-dil apne dikhate hue Dar lagta hai
ho na jae kahin hangama-e-mahshar barpa
apni rudad sunate hue Dar lagta hai
tapish-e-husn na parwana bana de mujh ko
us ke nazdik bhi jate hue Dar lagta hai
gharq ho jae na duniya-e-tasawwur apni
ashk-e-gham aankh mein late hue Dar lagta hai
shaghl tha dasht-nawardi ka kabhi ai 'taban'
ab gulistan mein bhi jate hue Dar lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.