aapko ba-shuur hona tha
aap ko bā-shu.ūr honā thā
dil to shīsha hai chuur honā thā
ham mohabbat se kyā gila karte
tum ko milnā thā duur honā thā
saarī duniyā se koī farq nahīñ
tum ko merā zarūr honā thā
vo ḳhudā to nahīñ ḳhudā kī qasam
par hasīñ hai ġhurūr honā thā
jo sazā pā rahā hai tū 'ābid'
us meñ to be-qusūr honā thā
aap ko ba-shuur hona tha
dil to shisha hai chur hona tha
hum mohabbat se kya gila karte
tum ko milna tha dur hona tha
sari duniya se koi farq nahin
tum ko mera zarur hona tha
wo KHuda to nahin KHuda ki qasam
par hasin hai ghurur hona tha
jo saza pa raha hai tu 'abid'
us mein to be-qusur hona tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.