aapko lakh bharam ho ki suKHan-sazi hai
aap ko laakh bharam ho ki suḳhan-sāzī hai
she'r agar ḳhud pe na guzre hoñ to laffāzī hai
peT har dūsre aa'zā kā ḳhudā hai shāyad
ek āvāz pe bikne ko badan raazī hai
ghol rakkhā hai yahāñ zahr tirī yādoñ ne
log bikte haiñ pahāḌoñ kī havā taazī hai
aap ko lakh bharam ho ki suKHan-sazi hai
she'r agar KHud pe na guzre hon to laffazi hai
peT har dusre aa'za ka KHuda hai shayad
ek aawaz pe bikne ko badan raazi hai
ghol rakkha hai yahan zahr teri yaadon ne
log bikte hain pahaDon ki hawa tazi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.