aapko mujhse mohabbat kaisi
aap ko mujh se mohabbat kaisī
aur agar hai to shikāyat kaisī
haa.e saḌkoñ pe ye nange bachche
mulk ḳhush-hāl to ġhurbat kaisī
apne zāhid se koī pūchhe to
ye riyā-kār ibādat kaisī
chheḌne kā to nahīñ huuñ aadī
mere kirdār pe hairat kaisī
be-irāda mire ghar ā.iyegā
maiñ na pūchhūñgā ye fursat kaisī
apne shaidā.ī pe ye zulm-o-sitam
jān-e-jāñ aap kī aadat kaisī
maiñ huuñ be-nām sā āvāra sā
aap kī mujh pe ināyat kaisī
kufr-o-ilhād se Takrāte ho
ai 'jamāl' aap kī himmat kaisī
sab ko nā-qadri-e-fan kā hai gila
ai 'jamāl' aap kī hurmat kaisī
aap ko mujh se mohabbat kaisi
aur agar hai to shikayat kaisi
hae saDkon pe ye nange bachche
mulk KHush-haal to ghurbat kaisi
apne zahid se koi puchhe to
ye riya-kar ibaadat kaisi
chheDne ka to nahin hun aadi
mere kirdar pe hairat kaisi
be-irada mere ghar aaiyega
main na puchhunga ye fursat kaisi
apne shaidai pe ye zulm-o-sitam
jaan-e-jaan aap ki aadat kaisi
main hun be-nam sa aawara sa
aap ki mujh pe inayat kaisi
kufr-o-ilhad se Takraate ho
ai 'jamal' aap ki himmat kaisi
sab ko na-qadri-e-fan ka hai gila
ai 'jamal' aap ki hurmat kaisi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.