aapko zaKHm-e-jigar dikhla ke hum chup-chap hain
aap ko zaḳhm-e-jigar dikhlā ke ham chup-chāp haiñ
aap kī āñkhoñ meñ aañsū aa ke ham chup-chāp haiñ
aaj duniyā kī nigāheñ āsmāñ par haiñ lagī
donoñ aalam par abhī tak chhā ke ham chup-chāp haiñ
aap ne to ik jahāñ meñ ham ko rusvā kar diyā
aap kī mahfil meñ lekin aa ke ham chup-chāp haiñ
log jalte hī rahe dil meñ liye buġhz-o-inād
shā.irāna azmateñ dikhlā ke ham chup-chāp haiñ
shikva-e-jaur-e-butāñ 'sajjād' ham na kar sake
har-qadam par kitne dhoke khā ke ham chup-chāp haiñ
aap ko zaKHm-e-jigar dikhla ke hum chup-chap hain
aap ki aankhon mein aansu aa ke hum chup-chap hain
aaj duniya ki nigahen aasman par hain lagi
donon aalam par abhi tak chha ke hum chup-chap hain
aap ne to ek jahan mein hum ko ruswa kar diya
aap ki mahfil mein lekin aa ke hum chup-chap hain
log jalte hi rahe dil mein liye bughz-o-inad
shairana azmaten dikhla ke hum chup-chap hain
shikwa-e-jaur-e-butan 'sajjad' hum na kar sake
har-qadam par kitne dhoke kha ke hum chup-chap hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.