Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aap kya jaanen mohabbat ka tamasha kya hai

Urooj Qadri

aap kya jaanen mohabbat ka tamasha kya hai

Urooj Qadri

MORE BYUrooj Qadri

    aap kyā jāneñ mohabbat tamāshā kyā hai

    sho.ala-e-ishq kise kahte haiñ saudā kyā hai

    koī ḳhush hai koī nā-ḳhush koī shākī tujh se

    kaun jaane ki tirī bazm qissa kyā hai

    sāġhar-e-mahr-o-vafā daur meñ thā sub.h-o-masā

    jaane ab majlis-e-ahbāb naqsha kyā hai

    ilm-e-taqdīr pe mauqūf nahīñ merā amal

    kaun jaane mirī taqdīr likkhā kyā hai

    jis ke imroz meñ baaqī na rahe rūh-e-hayāt

    saaf zāhir hai ki us qaum fardā kyā hai

    jagmagāte ye sitāre ye falak ke ḳheme

    'tuu' ne parde to ye dekhe pas-e-parda kyā hai

    kārsāzī pe ḳhudā hai bharosa varna

    maiñ agar jaan laḌā.ūñ bhī to hotā kyā hai

    sar hathelī pe liye phirte haiñ jo log 'urūj'

    un se pūchho ki mohabbat tarīqa kyā hai

    aap kya jaanen mohabbat ka tamasha kya hai

    shoala-e-ishq kise kahte hain sauda kya hai

    koi KHush hai koi na-KHush koi shaki tujh se

    kaun jaane ki teri bazm ka qissa kya hai

    saghar-e-mahr-o-wafa daur mein tha subh-o-masa

    jaane ab majlis-e-ahbab ka naqsha kya hai

    ilm-e-taqdir pe mauquf nahin mera amal

    kaun jaane meri taqdir ka likkha kya hai

    jis ke imroz mein baqi na rahe ruh-e-hayat

    saf zahir hai ki us qaum ka farda kya hai

    jagmagate ye sitare ye falak ke KHeme

    'tu' ne parde to ye dekhe pas-e-parda kya hai

    karsazi pe KHuda ki hai bharosa warna

    main agar jaan laDaun bhi to hota kya hai

    sar hatheli pe liye phirte hain jo log 'uruj'

    un se puchho ki mohabbat ka tariqa kya hai

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now