aap kya mil gae zindagi mil gai
aap kyā mil ga.e zindagī mil ga.ī
jis se mahrūm thā vo ḳhushī mil ga.ī
zindagī meñ añdherā añdherā sā thā
aap ko dekh kar raushnī mil ga.ī
mo.ajiza ik huā tum mile daf.atan
mere lab sil ga.e ḳhāmoshī mil ga.ī
un se pūchhā ki kaisī guzartī hai ab
dekhā āñkhoñ meñ un kī namī mil ga.ī
maiñ ne rab se kahā de de do gaz zamīñ
mujh ko mahbūb kī jab galī mil ga.ī
aap kya mil gae zindagi mil gai
jis se mahrum tha wo KHushi mil gai
zindagi mein andhera andhera sa tha
aap ko dekh kar raushni mil gai
moajiza ek hua tum mile dafatan
mere lab sil gae KHamoshi mil gai
un se puchha ki kaisi guzarti hai ab
dekha aankhon mein un ki nami mil gai
main ne rab se kaha de de do gaz zamin
mujh ko mahbub ki jab gali mil gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.