aap logon ne jo ye hashr uThaya hua hai
aap logoñ ne jo ye hashr uThāyā huā hai
is kā matlab vo mire shahr meñ aayā huā hai
is tarah aañkh milā ke mujhe gumrāh na kar
tū ne ye she'r to pahle bhī sunāyā huā hai
pahle ḳhush-bāsh thā vo tark-e-ta'alluq kar ke
ab mujhe māñgne darbār pe aayā huā hai
aise inkār na kar merā bharam hī rakh le
maiñ ne logoñ ko tire baare batāyā huā hai
us ne aanā hai to milnā hī nahīñ us se 'munīr'
sāzishī dil ne mirā zehn banāyā huā hai
aap logon ne jo ye hashr uThaya hua hai
is ka matlab wo mere shahr mein aaya hua hai
is tarah aankh mila ke mujhe gumrah na kar
tu ne ye she'r to pahle bhi sunaya hua hai
pahle KHush-bash tha wo tark-e-ta'alluq kar ke
ab mujhe mangne darbar pe aaya hua hai
aise inkar na kar mera bharam hi rakh le
main ne logon ko tere bare bataya hua hai
us ne aana hai to milna hi nahin us se 'munir'
sazishi dil ne mera zehn banaya hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.