aap mil jaenge kahin na kahin
aap mil jā.eñge kahīñ na kahīñ
zaḳhm chhil jā.eñge kahīñ na kahīñ
kyā talāsh-e-rafū-garāñ kiije
chaak sil jā.eñge kahīñ na kahīñ
na milā un kā dar to daar sahī
ahl-e-dil jā.eñge kahīñ na kahīñ
ham ġharīboñ kī aah se ik din
qasr hil jā.eñge kahīñ na kahīñ
sañg-e-dar se uThe to siine par
rakh ke sil jā.eñge kahīñ na kahīñ
aao chalte haiñ ab milā ke qadam
dil bhī mil jā.eñge kahīñ na kahīñ
gul khilātā rahe jahāñ 'ālim'
phuul khil jā.eñge kahīñ na kahīñ
aap mil jaenge kahin na kahin
zaKHm chhil jaenge kahin na kahin
kya talash-e-rafu-garan kije
chaak sil jaenge kahin na kahin
na mila un ka dar to dar sahi
ahl-e-dil jaenge kahin na kahin
hum gharibon ki aah se ek din
qasr hil jaenge kahin na kahin
sang-e-dar se uThe to sine par
rakh ke sil jaenge kahin na kahin
aao chalte hain ab mila ke qadam
dil bhi mil jaenge kahin na kahin
gul khilata rahe jahan 'alim'
phul khil jaenge kahin na kahin
- Book : دامن تار تار (Pg. 114)
- Author : سید عالم واسطی
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.