aap naraaz hain aur hum bhi to sharminda hain
aap nārāz haiñ aur ham bhī to sharminda haiñ
donoñ din-rāt taḌapte haiñ magar zinda haiñ
shāḳh-e-mizhgāñ pe ubhar aa.e haiñ kuchh naqsh-e-jamāl
zehn kī ḳhaak meñ chehre ka.ī tābinda haiñ
shabnamī raat ke phūloñ ne utāre haiñ libās
garm poshāk meñ sūraj ke numā.inda haiñ
dil kī dhaḌkan bhī vahī saañs ke naġhme bhī vahī
har rag-o-reshe tire naam ke sāzinda haiñ
surḳh āñkhoñ ne jalā rakkhe haiñ paanī ke charāġh
kuchh sitāre bhī sar-e-shām daraḳhshanda haiñ
amn kī bhiik bhī miltī nahīñ jiine ke liye
jaane kis mulk ke ujḌe hue bāshinda haiñ
dekhiye hāl-e-pareshāñ ko ulaT kar 'ulfat'
ham kisī maazī ke kho.e hue ā.inda haiñ
aap naraaz hain aur hum bhi to sharminda hain
donon din-raat taDapte hain magar zinda hain
shaKH-e-mizhgan pe ubhar aae hain kuchh naqsh-e-jamal
zehn ki KHak mein chehre kai tabinda hain
shabnami raat ke phulon ne utare hain libas
garm poshak mein suraj ke numainda hain
dil ki dhaDkan bhi wahi sans ke naghme bhi wahi
har rag-o-reshe tere nam ke sazinda hain
surKH aankhon ne jala rakkhe hain pani ke charagh
kuchh sitare bhi sar-e-sham daraKHshanda hain
amn ki bhik bhi milti nahin jine ke liye
jaane kis mulk ke ujDe hue bashinda hain
dekhiye haal-e-pareshan ko ulaT kar 'ulfat'
hum kisi mazi ke khoe hue aainda hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.