aapne hath rakkha mere hat par
aap ne haath rakkhā mire haat par
phir gayā saarā ilzām barsāt par
aag sāvan ne saarī lagā.ī yahāñ
tars khaa.ī na kuchh us ne hālāt par
vo mirā imtihāñ leñge hargiz nahīñ
jaan de deñge ham un kī ik baat par
mehrbāñ vo hue jab ghaḌī do ghaḌī
ham ne ġhazleñ kahīñ chāñdnī-rāt par
jiit kar bhī use is qadar rañj hai
vo pashemān kyuuñ hai mirī maat par
barf kī vādiyoñ meñ vo milnā tirā
ye ġhazal nazr hai us mulāqāt par
aap ne hath rakkha mere hat par
phir gaya sara ilzam barsat par
aag sawan ne sari lagai yahan
tars khai na kuchh us ne haalat par
wo mera imtihan lenge hargiz nahin
jaan de denge hum un ki ek baat par
mehrban wo hue jab ghaDi do ghaDi
hum ne ghazlen kahin chandni-raat par
jit kar bhi use is qadar ranj hai
wo pasheman kyun hai meri mat par
barf ki wadiyon mein wo milna tera
ye ghazal nazr hai us mulaqat par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.