aapne jo gira diye aansu
aap ne jo girā diye aañsū
ham ne motī banā diye aañsū
aise royā bahār meñ koī
shāḳh par bhī ugā diye aañsū
naam us kā laboñ pe aate hī
gaal par muskurā diye aañsū
tum bhī kaise 'ajīb aadmī ho
daav par phir lagā diye aañsū
maiñ ne pūchhā ki āñkheñ rotī haiñ
us ne ik dam bahā diye aañsū
ḳhvāb jitne bhī dekhe āñkhoñ ne
vaqt ne vo banā diye aañsū
kahīñ hañs kar 'adīm' pī aa.e
kahīñ ro kar uḌā diye aañsū
aap ne jo gira diye aansu
hum ne moti bana diye aansu
aise roya bahaar mein koi
shaKH par bhi uga diye aansu
nam us ka labon pe aate hi
gal par muskura diye aansu
tum bhi kaise 'ajib aadmi ho
daw par phir laga diye aansu
main ne puchha ki aankhen roti hain
us ne ek dam baha diye aansu
KHwab jitne bhi dekhe aankhon ne
waqt ne wo bana diye aansu
kahin hans kar 'adim' pi aae
kahin ro kar uDa diye aansu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.