aapne ki nazar to chaman jag uTha
aap ne kī nazar to chaman jaag uThā
mausam-e-gul kā dīvāna-pan jaag uThā
aaj sarshār qalb-o-nazar ho ga.e
husn yuuñ anjuman anjuman jaag uThā
so na paayā thā najm-e-sahar aur phir
ban ke pahlī rupahlī kiran jaag uThā
kis ishāre ne izn-e-takallum diyā
be-zabānoñ kā zauq-e-suḳhan jaag uThā
husn ne imtihāñ kā irāda kiyā
ishq kā zauq-e-dār-o-rasan jaag uThā
anjum anjum tabassum meñ gum ho gayā
sub.h hote hī charḳh-e-kuhan jaag uThā
bū-e-gul kis qadar thī hayāt-āfrīñ
ḳhvāb se 'fitrat'-e-ḳhush-suḳhan jaag uTThā
aap ne ki nazar to chaman jag uTha
mausam-e-gul ka diwana-pan jag uTha
aaj sarshaar qalb-o-nazar ho gae
husn yun anjuman anjuman jag uTha
so na paya tha najm-e-sahar aur phir
ban ke pahli rupahli kiran jag uTha
kis ishaare ne izn-e-takallum diya
be-zabanon ka zauq-e-suKHan jag uTha
husn ne imtihan ka irada kiya
ishq ka zauq-e-dar-o-rasan jag uTha
anjum anjum tabassum mein gum ho gaya
subh hote hi charKH-e-kuhan jag uTha
bu-e-gul kis qadar thi hayat-afrin
KHwab se 'fitrat'-e-KHush-suKHan jag uTTha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.