aap nigah-e-mast se patthar ko aab kijiye
aap nigāh-e-mast se patthar ko aab kījiye
thāmiye aab haath meñ aur sharāb kījiye
kār-e-vafā kā jab nahīñ koī sila janāb-e-ishq
banda nayā talāshiye merā hisāb kījiye
aa hī ga.e haiñ aap to itnā karam ki do qadam
chal ke hamāre saath dil sab ke kabāb kījiye
chaa.e meñ mat milā.iye shakar ki hai zarar-risāñ
shāmil miThās vāste apnā luaab kījiye
ham ne kahā ki aap ke hoñToñ se ek kaam hai
band-e-naqāb khol kar bole janāb kījiye
tohmat-e-zohd le ke ham baiThe hue haiñ muntazir
kuchh to qarīb aa.iye kuchh to ḳharāb kījiye
daal nahīñ janāb kī galne kī bazm-e-husn meñ
uThiye nashist chhoḌiye band kitāb kījiye
aap nigah-e-mast se patthar ko aab kijiye
thamiye aab hath mein aur sharab kijiye
kar-e-wafa ka jab nahin koi sila janab-e-ishq
banda naya talashiye mera hisab kijiye
aa hi gae hain aap to itna karam ki do qadam
chal ke hamare sath dil sab ke kabab kijiye
chae mein mat milaiye shakar ki hai zarar-risan
shamil miThas waste apna luab kijiye
hum ne kaha ki aap ke honTon se ek kaam hai
band-e-naqab khol kar bole janab kijiye
tohmat-e-zohd le ke hum baiThe hue hain muntazir
kuchh to qarib aaiye kuchh to KHarab kijiye
dal nahin janab ki galne ki bazm-e-husn mein
uThiye nashist chhoDiye band kitab kijiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.