aap ruswa hue zamane mein
aap rusvā hue zamāne meñ
ik zarā ā.īna dikhāne meñ
vo kisī se bhī Dar nahīñ saktā
haq pe chaltā hai jo zamāne meñ
tū ne parkhā bhī hai kabhī us ko
kitne jauhar haiñ is divāne meñ
paas rakhnā hai kuchh anā kā bhī
ye qabāhat hai sar jhukāne meñ
qahr chāroñ taraf barastā hai
ik zarā us ke ruuTh jaane meñ
zulm par baḌh ke ehtijāj karo
chhup ke baiTho na āshiyāne meñ
tabsire tazkire siyāsat ke
mīr-o-ġhālib ke āstāne meñ
ho na ho ye 'bahār' sāzish hai
zer-e-lab un ke muskurāne meñ
aap ruswa hue zamane mein
ek zara aaina dikhane mein
wo kisi se bhi Dar nahin sakta
haq pe chalta hai jo zamane mein
tu ne parkha bhi hai kabhi us ko
kitne jauhar hain is diwane mein
pas rakhna hai kuchh ana ka bhi
ye qabahat hai sar jhukane mein
qahr chaaron taraf barasta hai
ek zara us ke ruTh jaane mein
zulm par baDh ke ehtijaj karo
chhup ke baiTho na aashiyane mein
tabsire tazkire siyasat ke
mir-o-ghaalib ke aastane mein
ho na ho ye 'bahaar' sazish hai
zer-e-lab un ke muskurane mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.