aap se jab koi mila hoga
aap se jab koī milā hogā
hosh milte hī kho diyā hogā
kyā hasīñ ḳhvāb aa rahe hoñge
dil ḳhayāloñ meñ bah rahā hogā
aañkh se niiñd chhin chukī hogī
koī rātoñ ko jāgtā hogā
ek chadar tale mohabbat ke
haa.e kyā kyā na ho rahā hogā
ruuh manzil hai 'ishq kī gar to
jism tai hai ki rāsta hogā
vasl kī daal pak chukī hogī
'ishq taḌkā lagā rahā hogā
aap se jab koi mila hoga
hosh milte hi kho diya hoga
kya hasin KHwab aa rahe honge
dil KHayalon mein bah raha hoga
aankh se nind chhin chuki hogi
koi raaton ko jagta hoga
ek chadar tale mohabbat ke
hae kya kya na ho raha hoga
ruh manzil hai 'ishq ki gar to
jism tai hai ki rasta hoga
wasl ki dal pak chuki hogi
'ishq taDka laga raha hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.