aap se mil kar meri tabiat phulon jaisi rahti hai
aap se mil kar meri tabiat phulon jaisi rahti hai
Javed Akram Farooqi
MORE BYJaved Akram Farooqi
aap se mil kar merī tabī'at phūloñ jaisī rahtī hai
vaqt mile to kal phir aanā kal bhī merī chhuTTī hai
jaane kaunsā mausam hai ye chāroñ taraf hariyālī hai
tote se mainā kahtī hai imlī kitnī mīThī hai
jab purvā.ī so jaatī hai bojhal bojhal paañv liye
an-chhūe pattoñ ke pīchhe ik siiTī sī bajtī hai
kachchī chhatoñ ke nīche saa.e simTe simTe rahte haiñ
tanhā.ī ke lamhoñ meñ bārish bhī achchhī lagtī hai
dūsrā bistar ab aglī tanḳhvāh pe hī ban pā.egā
shaam Dhale tum ghar aa jaanā aaj to behad sardī hai
vo kyā jaane hotel-voTal picture-vikchar taash club
gaañv kī laḌkī shahr meñ aa kar sahmī sahmī rahtī hai
mausam kī pahlī bārish meñ sūraj palkeñ mūñdegā
saat samundar paar na jaanā aag kī nadiyā bahtī hai
aap se mil kar meri tabi'at phulon jaisi rahti hai
waqt mile to kal phir aana kal bhi meri chhuTTi hai
jaane kaunsa mausam hai ye chaaron taraf hariyali hai
tote se maina kahti hai imli kitni miThi hai
jab purwai so jati hai bojhal bojhal panw liye
an-chhue patton ke pichhe ek siTi si bajti hai
kachchi chhaton ke niche sae simTe simTe rahte hain
tanhai ke lamhon mein barish bhi achchhi lagti hai
dusra bistar ab agli tanKHwah pe hi ban paega
sham Dhale tum ghar aa jaana aaj to behad sardi hai
wo kya jaane hotel-woTal picture-wikchar tash club
ganw ki laDki shahr mein aa kar sahmi sahmi rahti hai
mausam ki pahli barish mein suraj palken mundega
sat samundar par na jaana aag ki nadiya bahti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.