aap se rabta nahin mere dost
aap se rābta nahīñ mire dost
saañs kā silsila nahīñ mire dost
apnī marzī kī khīñch lo tasvīr
zindagī camera nahīñ mire dost
dost to aur bhī hazāroñ haiñ
koī bhī aap sā nahīñ mire dost
tū ne dushman samajh liyā mujh ko
maiñ ne kuchh bhī kahā nahīñ mire dost
bārhā terā mujh se mil jaanā
ye koī hādisa nahīñ mire dost
maiñ use bhuul jā.ūñ pāgal ho
muft kā mashvara nahīñ mire dost
tū bahut duur hai magar phir bhī
ye koī fāsla nahīñ mire dost
maiñ tirī call kaaT duuñ 'abdul'
mujh meñ ye hausla nahīñ mire dost
aap se rabta nahin mere dost
sans ka silsila nahin mere dost
apni marzi ki khinch lo taswir
zindagi camera nahin mere dost
dost to aur bhi hazaron hain
koi bhi aap sa nahin mere dost
tu ne dushman samajh liya mujh ko
main ne kuchh bhi kaha nahin mere dost
barha tera mujh se mil jaana
ye koi hadisa nahin mere dost
main use bhul jaun pagal ho
muft ka mashwara nahin mere dost
tu bahut dur hai magar phir bhi
ye koi fasla nahin mere dost
main teri call kaT dun 'abdul'
mujh mein ye hausla nahin mere dost
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.