aap se shikwa ye karna hai agar raaz rahe
aap se shikva ye karnā hai agar raaz rahe
ahd meñ husn ke ham kushta-e-andāz rahe
shart parda hai to ye aaj se andāz rahe
merī āvāz meñ pinhāñ tirī āvāz rahe
ban gayā dard muqaddar se mire ye varna
naaz to rūh-e-mohabbat hai agar naaz rahe
maiñ jo asrār-e-mohabbat kahīñ zāhir kar duuñ
ho ke har saaz se paidā tirī āvāz rahe
aap ke ġham ko chhupā luuñ ye bajā farmāyā
aur agar rañg-e-ruḳh āmāda-e-parvāz rahe
saañs meñ naza.a kī hichkī ko badaltā huuñ maiñ
sa.ī-e-āḳhir hai agar rāz-e-vafā raaz rahe
aap se shikwa ye karna hai agar raaz rahe
ahd mein husn ke hum kushta-e-andaz rahe
shart parda hai to ye aaj se andaz rahe
meri aawaz mein pinhan teri aawaz rahe
ban gaya dard muqaddar se mere ye warna
naz to ruh-e-mohabbat hai agar naz rahe
main jo asrar-e-mohabbat kahin zahir kar dun
ho ke har saz se paida teri aawaz rahe
aap ke gham ko chhupa lun ye baja farmaya
aur agar rang-e-ruKH aamada-e-parwaz rahe
sans mein naza ki hichki ko badalta hun main
sai-e-aKHir hai agar raaz-e-wafa raaz rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.