aap se uns hua chahta hai
aap se uns huā chāhtā hai
phir koī baab khulā chāhtā hai
mere ahbāb meñ kar do ye ḳhabar
vo bhī ab merā huā chāhtā hai
aql hī ko nahīñ nudrat marġhūb
dil bhī andāz nayā chāhtā hai
ham na.ī dostī ke qaa.il the
koī dushman kā pata chāhtā hai
jo khaTaktā hai ek 'ālam' ko
vo bhī logoñ kī duā chāhtā hai
aap se uns hua chahta hai
phir koi bab khula chahta hai
mere ahbab mein kar do ye KHabar
wo bhi ab mera hua chahta hai
aql hi ko nahin nudrat marghub
dil bhi andaz naya chahta hai
hum nai dosti ke qail the
koi dushman ka pata chahta hai
jo khaTakta hai ek 'alam' ko
wo bhi logon ki dua chahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.