aap se wabastagi kya KHub hai
aap se vābastagī kyā ḳhuub hai
aap haiñ to zindagī kyā ḳhuub hai
aap se mil kar mile dil ko sukūn
aap kī maujūdgī kyā ḳhuub hai
aap ne paiġhām bhejā hai hameñ
aap kī ye dil-lagī kyā ḳhuub hai
aap haiñ bas aap haiñ bas aap haiñ
ālam-e-dīvāngī kyā ḳhuub hai
sar jhukāyā to uThāyā hī nahīñ
āshiqoñ kī bandagī kyā ḳhuub hai
chāñdnī jugnū sitāre aur kiran
nuur kī sūrat girī kyā ḳhuub hai
aap ko lagtā hai 'fārūq' ajnabī
aap kī bhī sādgī kyā ḳhuub hai
aap se wabastagi kya KHub hai
aap hain to zindagi kya KHub hai
aap se mil kar mile dil ko sukun
aap ki maujudgi kya KHub hai
aap ne paigham bheja hai hamein
aap ki ye dil-lagi kya KHub hai
aap hain bas aap hain bas aap hain
aalam-e-diwangi kya KHub hai
sar jhukaya to uThaya hi nahin
aashiqon ki bandagi kya KHub hai
chandni jugnu sitare aur kiran
nur ki surat giri kya KHub hai
aap ko lagta hai 'faruq' ajnabi
aap ki bhi sadgi kya KHub hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.