aap shishe ka gar makan rakhiye
aap shīshe kā gar makāñ rakhiye
kuchh to mazbūt sā.ebāñ rakhiye
tinkā tinkā bikhar na jaa.e kahīñ
āñdhiyoñ meñ na āshiyāñ rakhiye
lamha lamha azāb-e-jāñ hogā
dard dil meñ na yuuñ nihāñ rakhiye
sirf apnā hī ġham nahīñ sab kuchh
kuchh ḳhayāl-e-ġham-e-jahāñ rakhiye
haq adā kījiye sadāqat kā
aap muñh meñ agar zabāñ rakhiye
log barsoñ kareñge yaad 'majīd'
lafz meñ dard-e-be-karāñ rakhiye
aap shishe ka gar makan rakhiye
kuchh to mazbut saeban rakhiye
tinka tinka bikhar na jae kahin
aandhiyon mein na aashiyan rakhiye
lamha lamha azab-e-jaan hoga
dard dil mein na yun nihan rakhiye
sirf apna hi gham nahin sab kuchh
kuchh KHayal-e-gham-e-jahan rakhiye
haq ada kijiye sadaqat ka
aap munh mein agar zaban rakhiye
log barson karenge yaad 'majid'
lafz mein dard-e-be-karan rakhiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.