Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aap tak aa gae hum aane ko

Sahir Lakhnavi

aap tak aa gae hum aane ko

Sahir Lakhnavi

MORE BYSahir Lakhnavi

    aap tak aa ga.e ham aane ko

    kaise samjhā.eñge zamāne ko

    chhoḌo ab mujh ko āzmāne ko

    bhuul jaao mire fasāne ko

    hai adā un ruuTh jaane

    ham sadā ā.eñge manāne ko

    roke rukte nahīñ kabhī aañsū

    lab taraste haiñ muskurāne ko

    ghar meñ chhā.ī huī hai vīrānī

    dil nahīñ chāhtā sajāne ko

    va.ada karke na aa.e vo lekin

    ham ne sach samjhā hai bahāne ko

    baat kiije sadā mohabbat se

    achchhā samjho na dil dukhāne ko

    ho karam nazar bhī ai 'sāhir'

    kyā faqat ham haiñ āzmāne ko

    aap tak aa gae hum aane ko

    kaise samjhaenge zamane ko

    chhoDo ab mujh ko aazmane ko

    bhul jao mere fasane ko

    hai ada un ki ruTh jaane ki

    hum sada aaenge manane ko

    roke rukte nahin kabhi aansu

    lab taraste hain muskurane ko

    ghar mein chhai hui hai virani

    dil nahin chahta sajaane ko

    wada karke na aae wo lekin

    hum ne sach samjha hai bahane ko

    baat kije sada mohabbat se

    achchha samjho na dil dukhane ko

    ho karam ki nazar bhi ai 'sahir'

    kya faqat hum hain aazmane ko

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now