Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aap to baat ka aKHbar bana dete hain

Idris Azad

aap to baat ka aKHbar bana dete hain

Idris Azad

MORE BYIdris Azad

    aap to baat aḳhbār banā dete haiñ

    ghar māhaul pur-asrār banā dete haiñ

    ba.az āñkhoñ ko takallum bhī atā hotā hai

    apnī ḳhāmoshī ko iz.hār banā dete haiñ

    ab shikāyat na karo aap ne jo dard diye

    ham ko piine ravādār banā dete haiñ

    husn-e-mutlaq tujhe ma.alūm kahāñ lazzat-e-dīd

    aa tujhe tālib-e-dīdār banā dete haiñ

    aap jumbish-e-abrū ye ishāre ye kinā.e

    baat ko aur mazedār banā dete haiñ

    aise ahkām bhī takvīn sā.āt meñ haiñ

    jo farishtoñ ko ḳhatā-kār banā dete haiñ

    ham bhī aazar haiñ agar aap haiñ patthar chaTān

    ā.īye aap ko shahkār banā dete haiñ

    maiñ kahāñ tum se milā raat kahāñ chāñdnī thī

    yūñhī bas baat mire yaar banā dete haiñ

    dekh kar lauh-e-lahad dil meñ ḳhayāl aatā hai

    sar banāte nahīñ dastār banā dete haiñ

    ham ne dekhā hai karishma ye tire āhan-gar

    pal meñ zanjīr ko talvār banā dete haiñ

    aap to baat ka aKHbar bana dete hain

    ghar ka mahaul pur-asrar bana dete hain

    baz aankhon ko takallum bhi ata hota hai

    apni KHamoshi ko izhaar bana dete hain

    ab shikayat na karo aap ne jo dard diye

    hum ko pine ka rawadar bana dete hain

    husn-e-mutlaq tujhe malum kahan lazzat-e-did

    aa tujhe talib-e-didar bana dete hain

    aap ki jumbish-e-abru ye ishaare ye kinae

    baat ko aur mazedar bana dete hain

    aise ahkaam bhi takwin ki saat mein hain

    jo farishton ko KHata-kar bana dete hain

    hum bhi aazar hain agar aap hain patthar ki chaTan

    aaiye aap ko shahkar bana dete hain

    main kahan tum se mila raat kahan chandni thi

    yunhi bas baat mere yar bana dete hain

    dekh kar lauh-e-lahad dil mein KHayal aata hai

    sar banate nahin dastar bana dete hain

    hum ne dekha hai karishma ye tere aahan-gar

    pal mein zanjir ko talwar bana dete hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now