aap to ishq mein danai liye baiThe hain
aap to ishq meñ dānā.ī liye baiThe haiñ
aur divāne haiñ ki rusvā.ī liye baiThe haiñ ham
ḳhāna-e-hijr meñ yādeñ tirī raqsāñ hoñgī
ham isī shauq meñ tanhā.ī liye baiThe haiñ
tajraba ham pe taġhāful kā na kiije varna
kuchh hunar ham bhī karishmā.ī liye baiThe haiñ
ek muddat se vo vahshat hai ki bas kyā kahiye
ghar meñ ham ik dil-e-sahrā.ī liye baiThe haiñ
taqviyat azmat-e-kirdār se paa.ī hai ki ham
nā-tavānī meñ tavānā.ī liye baiThe haiñ
tāliyāñ aaj yahāñ ḳhuub bajeñgī 'nusrat'
sab ke sab apne tamāshā.ī liye baiThe haiñ
aap to ishq mein danai liye baiThe hain
aur diwane hain ki ruswai liye baiThe hain hum
KHana-e-hijr mein yaaden teri raqsan hongi
hum isi shauq mein tanhai liye baiThe hain
tajraba hum pe taghaful ka na kije warna
kuchh hunar hum bhi karishmai liye baiThe hain
ek muddat se wo wahshat hai ki bas kya kahiye
ghar mein hum ek dil-e-sahrai liye baiThe hain
taqwiyat azmat-e-kirdar se pai hai ki hum
na-tawani mein tawanai liye baiThe hain
taliyan aaj yahan KHub bajengi 'nusrat'
sab ke sab apne tamashai liye baiThe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.