aap yakta hue maza na hua
aap yaktā hue mazā na huā
lutf hī kyā jo dūsrā na huā
jaane kyā hotā hashr-e-zauq-e-nazar
ḳhair guzrī ki sāmnā na huā
vo shanāvar huuñ bahr-e-hastī meñ
jo kabhī sāhil-āshnā na huā
hausla rah gayā vafā kā mujhe
vo kabhī mā.il-e-jafā na huā
kyuuñ chamaktī hai barq nazd-e-qafas
ye bhī kyā merā āshiyāna huā
lutf uThātā kisī ke jalvoñ kā
dil mirā haa.e aa.ina na huā
shikva bedād kā to kyā 'maikash'
lab se naala bhī āshnā na huā
aap yakta hue maza na hua
lutf hi kya jo dusra na hua
jaane kya hota hashr-e-zauq-e-nazar
KHair guzri ki samna na hua
wo shanawar hun bahr-e-hasti mein
jo kabhi sahil-ashna na hua
hausla rah gaya wafa ka mujhe
wo kabhi mail-e-jafa na hua
kyun chamakti hai barq nazd-e-qafas
ye bhi kya mera aashiyana hua
lutf uThata kisi ke jalwon ka
dil mera hae aaina na hua
shikwa bedad ka to kya 'maikash'
lab se nala bhi aashna na hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.