aapka jab se aana hua
aapkā jab se aanā huā
ḳhushnumā āshiyāna huā
un kī bāteñ ġhazal ho ga.iiñ
apnā dil shā.irāna huā
raat kī kyā kaheñ raat bhar
un kā ḳhvāboñ meñ aanā huā
ishq kiije to mat sochiye
kis galī aanā jaanā huā
dil kā panchhī vahīñ jā.egā
jis jagah āb-o-dāna huā
jis ke bin ek pal bojh thā
us ko dekhe zamāna huā
qad se saaya baḌā ho gayā
shaam kā jiyūñ jiyūñ aanā huā
chain ik pal nahīñ hai 'ratan'
jab se dil kā lagānā huā
aapka jab se aana hua
KHushnuma aashiyana hua
un ki baaten ghazal ho gain
apna dil shairana hua
raat ki kya kahen raat bhar
un ka KHwabon mein aana hua
ishq kije to mat sochiye
kis gali aana jaana hua
dil ka panchhi wahin jaega
jis jagah aab-o-dana hua
jis ke bin ek pal bojh tha
us ko dekhe zamana hua
qad se saya baDa ho gaya
sham ka jiyun jiyun aana hua
chain ek pal nahin hai 'ratan'
jab se dil ka lagana hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.